Hamesha Wahid-e-yakta Bayan Se Guzra Hai

hamesha wahid-e-yakta bayan se guzra hai

KHuda ka zikr jab apni zaban se guzra hai

lakir khinch ke nur-e-guman se guzra hai

mujhe yaqin hai koi aasman se guzra hai

chamakta rahta hai donon jahan ki manzil par

wo ek shaKHs jo har imtihan se guzra hai

bas itna bol rahi chaaragar ki KHamoshi

bala ka dard dil-e-na-tawan se guzra hai

to kya hua jo ab aankhon mein qaid hai sahra

tere firaq mein dariya yahan se guzra hai

usi pe sabr hai mujh ko har ek daur yahan

bahaar aane se pahle KHizan se guzra hai

KHamosh lahje mein 'azhar' ko hashmi ne kaha

tera wajud bhi ek KHandan se guzra hai

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamesha Wahid-e-yakta Bayan Se Guzra Hai In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Hamesha Wahid-e-yakta Bayan Se Guzra Hai is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Hamesha Wahid-e-yakta Bayan Se Guzra Hai for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Hamesha Wahid-e-yakta Bayan Se Guzra Hai in PDF.