Jafaon Ki Numaish Hai Kisi Se Kuchh Nahin Bolen

jafaon ki numaish hai kisi se kuchh nahin bolen

sitamgar ki sataish hai kisi se kuchh nahin bolen

mujhe tanhai paDhni hai magar KHamosh lahje mein

yahi mahfil ki KHwahish hai kisi se kuchh nahin bolen

mere afkar pe bole baDi tahzib se zahid

muqaddar aazmaish hai kisi se kuchh nahin bolen

ye jo behaal sa manzar ye jo bimar se hum tum

siyasat ki nawazish hai kisi se kuchh nahin bolen

udhar hai jam hathon mein labon pe muskurahaT hai

udhar jab KHun ki barish hai kisi se kuchh nahin bolen

mulazim banna tha kis ko mulazim ban gaya koi

hunar zer-e-sifarish hai kisi se kuchh nahin bolen

zaban aazad hai jo bhi wahi to zinda hai lekin

zaban pe kaisi bandish hai kisi se kuchh nahin bolen

adawat ki yahan 'azhar' jo ek chingari uTThi thi

wo banti jati aatish hai kisi se kuchh nahin bolen

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jafaon Ki Numaish Hai Kisi Se Kuchh Nahin Bolen In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Jafaon Ki Numaish Hai Kisi Se Kuchh Nahin Bolen is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Jafaon Ki Numaish Hai Kisi Se Kuchh Nahin Bolen for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Jafaon Ki Numaish Hai Kisi Se Kuchh Nahin Bolen in PDF.