Jo Daulat Taraqqi-rasai Bahut Hai

jo daulat taraqqi-rasai bahut hai

to aapas mein us se judai bahut hai

agar tujh mein ulfat samai bahut hai

to sun lo yahan be-wafai bahut hai

kabhi dard man ko nahin do ki is ki

har ek aah mein gahri khai bahut hai

KHuda ki raza hai na hasil kisi ko

KHuda ke liye par laDai bahut hai

mohabbat luTai hai apno pe behad

magar choT apno se khai bahut hai

haqiqat mein wo daur kafi hai mujh se

tasawwur mein jo pas aai bahut hai

siyasat ne jashn-e-charaghan ke badle

gharibon ki basti jalai bahut hai

har ek shai se le kar zamin-o-falak ko

mayassar KHuda ki KHudai bahut hai

agar mujh ko iman ki parwah na hoti

to duniya mein 'azhar' kamai bahut hai

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Daulat Taraqqi-rasai Bahut Hai In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Jo Daulat Taraqqi-rasai Bahut Hai is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Jo Daulat Taraqqi-rasai Bahut Hai for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Jo Daulat Taraqqi-rasai Bahut Hai in PDF.