Kabhi Madhur Kabhi MiThi Zaban Ka Shair Hun

kabhi madhur kabhi miThi zaban ka shair hun

isi sanad se main hindostan ka shair hun

dikhenge mujh mein tumhein zaKHm ghaw dono hi

KHilaf-e-zulm ke aajiz bayan ka shair hun

main apni fikr ko mahdud rakh nahin sakta

zamin-o-arsh makin-o-makan ka shair hun

guman kahta hai ke main yaqin ka shair hun

yaqin kahta hai ke main guman ka shair hun

jahan hai zarra qamar aur jahan qamar zarra

main us zamin ka main us aasman ka ka shair hun

abhi mujhe na suKHnawar kaho mere ahbab

abhi suKHan mein faqat imtihan ka shair hun

mujhe na dekho yun nafrat bhari nigahon se

main 'hashmi' hun main amn-o-aman ka shair hun

(908) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Madhur Kabhi MiThi Zaban Ka Shair Hun In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Kabhi Madhur Kabhi MiThi Zaban Ka Shair Hun is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Kabhi Madhur Kabhi MiThi Zaban Ka Shair Hun for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Kabhi Madhur Kabhi MiThi Zaban Ka Shair Hun in PDF.