KHamosh Zaban Se Jab Taqrir Nikalti Hai

KHamosh zaban se jab taqrir nikalti hai

lagta hai ki pairon se zanjir nikalti hai

TuTa hua badhna tha shayad ki wuzu ka ho

aisi bhi to purkhon ki jagir nikalti hai

jo dagh hai sajde ka peshani-e-momin par

us dagh se ho kar hi taqdir nikalti hai

milti hai KHushi sab ko jaise hi kahin se bhi

bhuli hui bachpan ki taswir nikalti hai

majruh qalam ko jab har lafz dua de den

ta umr qalam se phir tahrir nikalti hai

ho amn yahan hum mein socha tha magar 'azhar'

dekha to har ek ghar se shamshir nikalti hai

(1224) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamosh Zaban Se Jab Taqrir Nikalti Hai In English By Famous Poet Azhar Hashmi. KHamosh Zaban Se Jab Taqrir Nikalti Hai is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem KHamosh Zaban Se Jab Taqrir Nikalti Hai for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download KHamosh Zaban Se Jab Taqrir Nikalti Hai in PDF.