Mere Wajud Ka Mehwar Chamakta Rahta Hai

mere wajud ka mehwar chamakta rahta hai

isi sanad se muqaddar chamakta rahta hai

kisi mazar pe chhai hai KHak muflis ki

kisi mazar ka patthar chamakta rahta hai

ye kaisi rasm-e-halakat bhi pa gai hai riwaj

ye kaise KHun ka manzar chamakta rahta hai

meri nigah ko manzil ki raushni hai aziz

bala se mel ka patthar chamakta rahta hai

jo uTh ke KHak se parwaz ka ujala bana

usi parinde ka shahpar chamakta rahta hai

miTa ke hausle baatil ke aao su-e-haq

qadam baDhao ki rahbar chamakta rahta hai

nujum shams qamar aur jalne lagte hain

suKHan-waron mein jab 'azhar' chamakta rahta hai

(771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Wajud Ka Mehwar Chamakta Rahta Hai In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Mere Wajud Ka Mehwar Chamakta Rahta Hai is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Mere Wajud Ka Mehwar Chamakta Rahta Hai for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Mere Wajud Ka Mehwar Chamakta Rahta Hai in PDF.