Shahr Ko Aatish-e-ranjish Ke Dhuan Tak Dekhun

shahr ko aatish-e-ranjish ke dhuan tak dekhun

maqtal zist ko aaKHir main kahan tak dekhun

phir ye manunga KHamoshi pe zawal aaya hai

dil dhaDakne ki sada jab main zaban tak dekhun

ye tamanna hai KHuda aalam-e-hasti mein tere

main ayan dekhna chahun to nihan tak dekhun

jab ki ab rabta rakhne ka bahut hai imkan

phir bhi viraniyan phailin hain jahan tak dekhun

kya tasawwur meri aankhon ne nawaza hai mujhe

KHud ko dekhun to main ehsas-e-ziyan tak dekhun

manta hun ki hai zulmat-e-azal us ka nasib

raat ki zid hai use apni fughan tak dekhun

ye bhi aslaf ki tahzib hai 'azhar' main yahan

apna kirdar tamam amn-e-aman tak dekhun

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Ko Aatish-e-ranjish Ke Dhuan Tak Dekhun In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Shahr Ko Aatish-e-ranjish Ke Dhuan Tak Dekhun is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Shahr Ko Aatish-e-ranjish Ke Dhuan Tak Dekhun for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Shahr Ko Aatish-e-ranjish Ke Dhuan Tak Dekhun in PDF.