Ye Kam Nahin Ke Wahi Sham Ka Sitara Hai

ye kam nahin ke wahi sham ka sitara hai

jise fazilat-e-tanhai ne ubhaara hai

kahin suragh nahin hai kisi bhi qatil ka

lahuluhan magar shahr ka nazara hai

main ja raha hun mukammal wajud pane ko

mujhe bhi surat-e-imkan ne ab pukara hai

wo hans ke har shab-e-zulmat kaT dete hain

wo jin ke sine mein aflak ka sipara hai

charagh jalta rahega hamesha ulfat ka

yahi wajud ke anwar ka ishaara hai

ye kaisi surat-e-mahtab khul rahi hai magar

zamin pe kis ne ise arsh se utara hai

ana-shikar pe zahir ye kab hua 'azhar'

use nibhane mein taqdir ka KHasara hai

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kam Nahin Ke Wahi Sham Ka Sitara Hai In English By Famous Poet Azhar Hashmi. Ye Kam Nahin Ke Wahi Sham Ka Sitara Hai is written by Azhar Hashmi. Read famous Poem Ye Kam Nahin Ke Wahi Sham Ka Sitara Hai for youth and Student by Azhar Hashmi. Free Download Ye Kam Nahin Ke Wahi Sham Ka Sitara Hai in PDF.