Ghamon Se Yun Wo Farar IKHtiyar Karta Tha

ghamon se yun wo farar iKHtiyar karta tha

faza mein uDte parinde shumar karta tha

bayan karta tha dariya ke par ke qisse

ye aur baat wo dariya na par karta tha

bichhaD ke ek hi basti mein donon zinda hain

main us se ishq to wo mujh se pyar karta tha

yunhi tha shahr ki shaKHsiyyaton ko ranj us se

ki wo ziden bhi baDi pur-waqar karta tha

kal apni jaan ko din mein bacha nahin paya

wo aadmi ki jo aahaT pe war karta tha

wo jis ke sehn mein koi gulab khil na saka

tamam shahr ke bachchon se pyar karta tha

sadaqaten thin meri bandagi mein jab 'azhar'

hifazaten meri parwardigar karta tha

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghamon Se Yun Wo Farar IKHtiyar Karta Tha In English By Famous Poet Azhar Inayati. Ghamon Se Yun Wo Farar IKHtiyar Karta Tha is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Ghamon Se Yun Wo Farar IKHtiyar Karta Tha for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Ghamon Se Yun Wo Farar IKHtiyar Karta Tha in PDF.