Ghar Ka Rasta Jo Bhul Jata Hun

ghar ka rasta jo bhul jata hun

kya bataun kahan se aata hun

zehn mein KHwab ke mahal ki tarah

KHud hi banta hun TuT jata hun

aaj bhi sham-e-gham! udas na ho

mang kar main charagh lata hun

main to ai shahr ke hasin rasto

ghar se hi qatl ho ke aata hun

roz aati hai ek shaKHs ki yaad

roz ek phul toD lata hun

hae gahraiyan un aankhon ki

baat karta hun Dub jata hun

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Ka Rasta Jo Bhul Jata Hun In English By Famous Poet Azhar Inayati. Ghar Ka Rasta Jo Bhul Jata Hun is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Ghar Ka Rasta Jo Bhul Jata Hun for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Ghar Ka Rasta Jo Bhul Jata Hun in PDF.