Ghar To Hamara Shoalon Ke Narghe Mein Aa Gaya

ghar to hamara shoalon ke narghe mein aa gaya

lekin tamam shahr ujale mein aa gaya

ye bhi raha hai kucha-e-jaanan mein apna rang

aahaT hui to chand dariche mein aa gaya

honTon pe ghibaton ki KHarashen liye hue

ye kaun aainon ke qabile mein aa gaya

aandhi bhi bachpane ki hadon se guzar gai

mujh ko bhi lutf shama jalane mein aa gaya

kuchh der tak to us se meri guftugu rahi

phir ye hua ki wo mere lahje mein aa gaya

(770) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar To Hamara Shoalon Ke Narghe Mein Aa Gaya In English By Famous Poet Azhar Inayati. Ghar To Hamara Shoalon Ke Narghe Mein Aa Gaya is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Ghar To Hamara Shoalon Ke Narghe Mein Aa Gaya for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Ghar To Hamara Shoalon Ke Narghe Mein Aa Gaya in PDF.