Is Bar Un Se Mil Ke Juda Hum Jo Ho Gae

is bar un se mil ke juda hum jo ho gae

un ki saheliyon ke bhi aanchal bhigo gae

chaurahon ka to husn baDha shahr ke magar

jo log namwar the wo patthar ke ho gae

sab dekh kar guzar gae ek pal mein aur hum

diwar par bane hue manzar mein kho gae

mujh ko bhi jagne ki aziyyat se de najat

ai raat ab to ghar ke dar-o-baam so gae

kis kis se aur jaane mohabbat jatate hum

achchha hua ki baal ye chandi ke ho gae

itni lahuluhan to pahle faza na thi

shayad hamari aankhon mein ab zaKHm ho gae

iKHlas ka muzahira karne jo aae the

'azhar' tamam zehn mein kanTe chubho gae

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Bar Un Se Mil Ke Juda Hum Jo Ho Gae In English By Famous Poet Azhar Inayati. Is Bar Un Se Mil Ke Juda Hum Jo Ho Gae is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Is Bar Un Se Mil Ke Juda Hum Jo Ho Gae for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Is Bar Un Se Mil Ke Juda Hum Jo Ho Gae in PDF.