Kya Kya Nawah-e-chashm Ki Ranaiyan Gain

kya kya nawah-e-chashm ki ranaiyan gain

mausam gaya gulab gae titliyan gain

jhuTi siyahiyon se hain shajre likhe hue

ab ke hasab-nasab ki bhi sachchaiyan gain

kis zehn se ye sare mahazon pe jang thi

kya fath ho gaya ki saf-araiyan gain

karne ko raushni ke taaqub ka tajraba

kuchh dur mere sath bhi parchhaiyan gain

aage to be-charagh gharon ka hai silsila

mere yahan se jaane kahan aandhiyan gain

'azhar' meri ghazal ke sabab ab ke shahr mein

kitni nai purani shanasaiyan gain

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kya Nawah-e-chashm Ki Ranaiyan Gain In English By Famous Poet Azhar Inayati. Kya Kya Nawah-e-chashm Ki Ranaiyan Gain is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Kya Kya Nawah-e-chashm Ki Ranaiyan Gain for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Kya Kya Nawah-e-chashm Ki Ranaiyan Gain in PDF.