Main Samundar Tha Mujhe Chain Se Rahne Na Diya

main samundar tha mujhe chain se rahne na diya

KHamushi se kabhi dariyaon ne bahne na diya

apne bachpan mein jise sun ke main so jata tha

mere bachchon ne wo qissa mujhe kahne na diya

kuchh tabiat mein thi aawara mizaji shamil

kuchh buzurgon ne bhi ghar mein mujhe rahne na diya

sar-bulandi ne meri shahr-e-shikasta mein kabhi

kisi diwar ko sar par mere Dahne na diya

ye alag baat ki main nuh nahin tha lekin

main ne kashti ko ghalat samt mein bahne na diya

baad mere wahi sardar-e-qabila tha magar

buz-dili ne use ek war bhi sahne na diya

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Samundar Tha Mujhe Chain Se Rahne Na Diya In English By Famous Poet Azhar Inayati. Main Samundar Tha Mujhe Chain Se Rahne Na Diya is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Main Samundar Tha Mujhe Chain Se Rahne Na Diya for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Main Samundar Tha Mujhe Chain Se Rahne Na Diya in PDF.