Qayamat Aaegi Mana Ye Hadisa Hoga

qayamat aaegi mana ye hadisa hoga

magar chhupa hua manzar to runuma hoga

musahibon mein ghire honge zill-e-subhani

ghanim shahr ko taraj kar raha hoga

abhi faza mein thi ek tez raushni ki lakir

na jaane TuT ke tara kahan gira hoga

aziz mujh se tha inam mere sar ka use

rais ek hi shab mein wo ho gaya hoga

hui jo baat to wo aam aadmi nikla

guman tha ki nae ruKH se sochta hoga

rahega samne kab tak ye nilgun manzar

ye aasman kahin KHatm to hua hoga

ajab safar hai mujhe bhi pata nahin 'azhar'

ki agle moD pe kirdar mera kya hoga

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qayamat Aaegi Mana Ye Hadisa Hoga In English By Famous Poet Azhar Inayati. Qayamat Aaegi Mana Ye Hadisa Hoga is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Qayamat Aaegi Mana Ye Hadisa Hoga for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Qayamat Aaegi Mana Ye Hadisa Hoga in PDF.