Tamam ShaKHsiyat Uski Hasin Nazar Aai

tamam shaKHsiyat us ki hasin nazar aai

jab us ke qatl ki aKHbar mein KHabar aai

sharif log chaDhe jab nahin hain koThon par

to kis ke sath ye tahzib baam par aai

guzar ke mujh ko KHad-o-KHal ke sarabon se

tamam shahr mein be-chehragi nazar aai

KHamosh kya hui buDhiya safed baalon ki

kahaniyon ki koi raat phir na ghar aai

ajib shaKHs tha kuchh der guftugu jo hui

dil o dimagh mein ek raushni utar aai

duaen mang rahe the hawa ki log magar

hawa chali bhi to aankhon mein dhul bhar aai

gulab TuT ke bikhra tha kal jahan 'azhar'

usi maqam pe KHushbu mujhe nazar aai

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam ShaKHsiyat Uski Hasin Nazar Aai In English By Famous Poet Azhar Inayati. Tamam ShaKHsiyat Uski Hasin Nazar Aai is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Tamam ShaKHsiyat Uski Hasin Nazar Aai for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Tamam ShaKHsiyat Uski Hasin Nazar Aai in PDF.