Wo Mujhse Mera Taaruf Karane Aaya Tha

wo mujh se mera taaruf karane aaya tha

abhi guzar jo gaya ek azim lamha tha

suna hai main ne yahan surKH ghas aa gai thi

wo baadshah yahin apni jang haara tha

hamari raat se behtar thi agle waqt ki raat

har ek ghar mein diya subh tak to jalta tha

aziz mujh ko bhi the naqsh apne mazi ke

use bhi shauq purani imaraton ka tha

ab apne sar ka tahaffuz bhi aap KHud kije

faza mein aap ne patthar bhi KHud uchhaala tha

gaya to apni udasi bhi de gaya mujh ko

tamam din jo mere sath hansta rahta tha

ab us se ek baDa nam juD gaya 'azhar'

jo shah-kar meri fikr ne banaya tha

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Mujhse Mera Taaruf Karane Aaya Tha In English By Famous Poet Azhar Inayati. Wo Mujhse Mera Taaruf Karane Aaya Tha is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Wo Mujhse Mera Taaruf Karane Aaya Tha for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Wo Mujhse Mera Taaruf Karane Aaya Tha in PDF.