Wo TaDap Jae Ishaara Koi Aisa Dena

wo taDap jae ishaara koi aisa dena

us ko KHat likhna to mera bhi hawala dena

apni taswir banaoge to hoga ehsas

kitna dushwar hai KHud ko koi chehra dena

is qayamat ki jab us shaKHs ko aankhen di hain

ai KHuda KHwab bhi dena to sunahra dena

apni tarif to mahbub ki kamzori hai

ab ke milna to use ek qasida dena

hai yahi rasm baDe shahron mein waqt-e-ruKHsat

hath kafi hai hawa mein yahan lahra dena

in ko kya qile ke andar ki fazaon ka pata

ye nigahban hain in ko to hai pahra dena

patte patte pe nai rut ke ye likh den 'azhar'

dhup mein jalte hue jismon ko saya dena

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo TaDap Jae Ishaara Koi Aisa Dena In English By Famous Poet Azhar Inayati. Wo TaDap Jae Ishaara Koi Aisa Dena is written by Azhar Inayati. Read famous Poem Wo TaDap Jae Ishaara Koi Aisa Dena for youth and Student by Azhar Inayati. Free Download Wo TaDap Jae Ishaara Koi Aisa Dena in PDF.