Har Ek Rah Mein Imkan-e-hadisa Hai Abhi

har ek rah mein imkan-e-hadisa hai abhi

ki kho na jaun andhere mein sochna hai abhi

tamam umr wo chalta raha hai sahra mein

ghane daraKHt ke sae mein jo khaDa hai abhi

sukun tere tasawwur se jis ko milta hai

wo teri did ko lekin taDap raha hai abhi

har ek shaKHs ke chehre pe KHauf tari hai

na jaane kaun andhere mein chiKHta hai abhi

wo kho gaya hai kahin bhiD mein to kya kijiye

jo dukh hai us ke na milne ka wo juda hai abhi

Thahar gae ho sar-e-rah kis liye aaKHir

chale bhi jao ki koi bala raha hai abhi

daricha khol ke 'nayyar' na dekhiye bahar

lahuluhan manazir ka silsila hai abhi

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Rah Mein Imkan-e-hadisa Hai Abhi In English By Famous Poet Azhar Naiyyar. Har Ek Rah Mein Imkan-e-hadisa Hai Abhi is written by Azhar Naiyyar. Read famous Poem Har Ek Rah Mein Imkan-e-hadisa Hai Abhi for youth and Student by Azhar Naiyyar. Free Download Har Ek Rah Mein Imkan-e-hadisa Hai Abhi in PDF.