Hamare Chehre Pe Ranj-o-malal Aisa Tha

hamare chehre pe ranj-o-malal aisa tha

masarraton ka zamane mein kal aisa tha

faza-e-shahr mein barud ki thi bu shamil

ki sans lena bhi hum ko muhaal aisa tha

amir-e-shahr ke honTon pe paD gae tale

gharib-e-shahr ka chubhta sawal aisa tha

ba-waqt-e-sham samundar mein gir gaya suraj

tamam din ki thakan se niDhaal aisa tha

tamam ghonsle KHali the nange peDon par

hudud-e-dasht mein waqt-e-zawal aisa tha

wo jab bhi milte hain zaKHmon ke phul dete hain

hamara rabta un se bahaal aisa tha

zamin pe jhukne lagi KHud-ba-KHud har ek Dali

daraKHt karb-e-numu se niDhaal aisa tha

KHud apne aap se bhi main raha hun begana

hisar-e-dil mein kisi ka KHayal aisa tha

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Chehre Pe Ranj-o-malal Aisa Tha In English By Famous Poet Azhar Naiyyar. Hamare Chehre Pe Ranj-o-malal Aisa Tha is written by Azhar Naiyyar. Read famous Poem Hamare Chehre Pe Ranj-o-malal Aisa Tha for youth and Student by Azhar Naiyyar. Free Download Hamare Chehre Pe Ranj-o-malal Aisa Tha in PDF.