Dil Kuchh Der Machalta Hai Phir Yaadon Mein Yun Kho Jata Hai

dil kuchh der machalta hai phir yaadon mein yun kho jata hai

jaise koi ziddi bachcha rote rote so jata hai

sard hawa ya TuTa taw puri raat adhura chand

mere aangan ki miTTi ko jaane kaun bhigo jata hai

ek ek kar ke dhup ke sare surKH parinde mar jate hain

ret ke zard samundar par jab suraj panw dho jata hai

tujh se bichhaD kar raat ka ek ek lamha sadiyon mein kaTta hai

din ke hote hote ab to ek zamana ho jata hai

raat gae tanhai mujh se akasr puchhne aa jati hai

chup ki is basti ko shor-o-ghul mein kaun Dubo jata hai

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Kuchh Der Machalta Hai Phir Yaadon Mein Yun Kho Jata Hai In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Dil Kuchh Der Machalta Hai Phir Yaadon Mein Yun Kho Jata Hai is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Dil Kuchh Der Machalta Hai Phir Yaadon Mein Yun Kho Jata Hai for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Dil Kuchh Der Machalta Hai Phir Yaadon Mein Yun Kho Jata Hai in PDF.