Dar-pesh Nahin Naql-e-makani Kai Din Se

dar-pesh nahin naql-e-makani kai din se

aai na tabiat mein rawani kai din se

phir ret ke dariya pe koi pyasa musafir

likhta hai wahi ek kahani kai din se

dushman ka kinare pe baDa saKHt hai pahra

aaya na mere shahr mein pani kai din se

saunpe the kahan dhup ke mausam ko ghane peD

main DhunDh raha hun wo nishani kai din se

shayad koi bhaTka hai wahan qafila 'azhar'

sahra ne meri KHak na chhani kai din se

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-pesh Nahin Naql-e-makani Kai Din Se In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Dar-pesh Nahin Naql-e-makani Kai Din Se is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Dar-pesh Nahin Naql-e-makani Kai Din Se for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Dar-pesh Nahin Naql-e-makani Kai Din Se in PDF.