Chaak-e-daman-e-qaba Dagh-e-junun-saz Bahut

chaak-e-daman-e-qaba dagh-e-junun-saz bahut

hum ne pae hain dar-e-yar se eazaz bahut

hum se puchho ki gham-e-furqat-e-yaran kya hai

hum ne dekhe hain shab-e-hijr ke andaz bahut

raat bhar chand se hoti rahen teri baaten

raat khole hain sitaron ne tere raaz bahut

aaj kyun pahli si kuchh wahshat-e-dil koi nahin

aaj maddham hai shab-e-gham tera aaghaz bahut

ek hum hi ne sameTi hai udasi teri

sham-e-gham hum ne uThae hain tere naz bahut

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaak-e-daman-e-qaba Dagh-e-junun-saz Bahut In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Chaak-e-daman-e-qaba Dagh-e-junun-saz Bahut is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Chaak-e-daman-e-qaba Dagh-e-junun-saz Bahut for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Chaak-e-daman-e-qaba Dagh-e-junun-saz Bahut in PDF.