Afsurdagi-e-dard-e-faraqat Hai Sahar Tak

afsurdagi-e-dard-e-faraqat hai sahar tak

ye sham to ek sham-e-qayamat hai sahar tak

koi to andheron mein ujalon ka sabab ho

mana ki charaghon ki haqiqat hai sahar tak

ab hum pe jo aai to kisi taur na guzri

sunte the shab-e-gham ki tawalat hai sahar tak

phir rakh bhi ho jaen to ho jaen bala se

aankhon ke hawalon ki zarurat hai sahar tak

jis raat khula mujh pe wo mahtab ki surat

wo raat sitaron ki amanat hai sahar tak

suraj pe hukumat hai yahan dida-waron ki

sinon ki sulagne ki ijazat hai sahar tak

gunjega har ek halqa-e-zanjir-e-asiran

KHamoshi-e-zindan ki aziyyat hai sahar tak

ye raqs-e-bala saz-e-junun-KHez pe 'azhar'

ye mahfil-e-hangama-e-wahshat hai sahar tak

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Afsurdagi-e-dard-e-faraqat Hai Sahar Tak In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Afsurdagi-e-dard-e-faraqat Hai Sahar Tak is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Afsurdagi-e-dard-e-faraqat Hai Sahar Tak for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Afsurdagi-e-dard-e-faraqat Hai Sahar Tak in PDF.