Kinaron Se Juda Hota Nahin Tughyaniyon Ka Dukh

kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh

nai maujon mein rahta hai purane paniyon ka dukh

kahin muddat hui us ko ganwaya tha magar ab tak

meri aankhon mein hai un be-sar-o-samaniyon ka dukh

to kya tu bhi meri ujDi hui basti se guzra hai

to kya tu ne bhi dekha hai meri viraniyon ka dukh

shikast-e-gham ke lamhon mein jo gham-alud ho jaen

zamin hathon pe le leti hai un peshaniyon ka dukh

miyan-e-aks-o-aina abhi kuchh gard baqi hai

abhi pahchan mein aaya nahin hairaniyon ka dukh

main pahle DhunDhta hun ek zara aasaniyan aur phir

baDi mushkil mein rakhta hai mujhe aasaniyon ka dukh

(612) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kinaron Se Juda Hota Nahin Tughyaniyon Ka Dukh In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Kinaron Se Juda Hota Nahin Tughyaniyon Ka Dukh is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Kinaron Se Juda Hota Nahin Tughyaniyon Ka Dukh for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Kinaron Se Juda Hota Nahin Tughyaniyon Ka Dukh in PDF.