Koi Aisi Baat Hai Jis Ke Dar Se Bahar Rahte Hain

koi aisi baat hai jis ke Dar se bahar rahte hain

hum jo itni raat gae tak ghar se bahar rahte hain

patthar jaisi aankhon mein suraj ke KHwab lagate hain

aur phir hum is KHwab ke har manzar se bahar rahte hain

jab tak rahte hain aangan mein hangame tanhai ke

KHamoshi ke sae baam-o-dar se bahar rahte hain

jab se be-chehron ki basti mein chehre taqsim hue

us din se hum aainon ke ghar se bahar rahte hain

jis ki ret pe nam likhe hain 'azhar' Dubne walon ke

wo sahil maujon ke shor-o-shar se bahar rahte hain

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Aisi Baat Hai Jis Ke Dar Se Bahar Rahte Hain In English By Famous Poet Azhar Naqvi. Koi Aisi Baat Hai Jis Ke Dar Se Bahar Rahte Hain is written by Azhar Naqvi. Read famous Poem Koi Aisi Baat Hai Jis Ke Dar Se Bahar Rahte Hain for youth and Student by Azhar Naqvi. Free Download Koi Aisi Baat Hai Jis Ke Dar Se Bahar Rahte Hain in PDF.