Halakat-e-dil-e-nashad Raegan Bhi Nahin

halakat-e-dil-e-nashad raegan bhi nahin

nigah-e-dost mein ab koi imtihan bhi nahin

talash-e-dair-o-haram ka maal kya kahiye

sukun yahan bhi nahin hai sukun wahan bhi nahin

teri nigah ne khola moamla dil ka

nazar zaban nahin rakhti pa be-zaban bhi nahin

usi ko sare zamane se hum chhupae rahe

wo ek baat zamane se jo nihan bhi nahin

subut barq ki ghaarat-gari ka kis se mile

ki aashiyan tha jahan ab wahan dhuan bhi nahin

nishan-e-qafila-e-umr DhunDne walo

yahan to dur talak gard-e-karwan bhi nahin

(553) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Halakat-e-dil-e-nashad Raegan Bhi Nahin In English By Famous Poet Azhar Saeed. Halakat-e-dil-e-nashad Raegan Bhi Nahin is written by Azhar Saeed. Read famous Poem Halakat-e-dil-e-nashad Raegan Bhi Nahin for youth and Student by Azhar Saeed. Free Download Halakat-e-dil-e-nashad Raegan Bhi Nahin in PDF.