Phul Jo Dil Ki Rahguzar Mein Hai

phul jo dil ki rahguzar mein hai

jaane kis ke wo intizar mein hai

fikr bhi lutf-e-intizar mein hai

be-qarari bhi kuchh qarar mein hai

zindagi tujh se kya umid rakhun

tu kahan mere iKHtiyar mein hai

apna dushman hai ye jahan sara

kitni taqat hamare pyar mein hai

koi harakat nahin hai Dali mein

kya parinde ke intizar mein hai

kar sako to use karo mahsus

ek lazzat jo nok-e-KHar mein hai

wo jo aage tha jaan-nisaron mein

sab se pichhe wahi qatar mein hai

dhul bhi mo'atabar hai raste ki

karwan ka nishan ghubar mein hai

amn aur aashti se us ko kya

us ka maqsad to intishaar mein hai

dard to ungliyon se milta hai

warna aawaz to sitar mein hai

kal bhi wo mera muntazir tha 'aziz'

aaj bhi mere intizar mein hai

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phul Jo Dil Ki Rahguzar Mein Hai In English By Famous Poet Aziz Ansari. Phul Jo Dil Ki Rahguzar Mein Hai is written by Aziz Ansari. Read famous Poem Phul Jo Dil Ki Rahguzar Mein Hai for youth and Student by Aziz Ansari. Free Download Phul Jo Dil Ki Rahguzar Mein Hai in PDF.