Kuchh Zindagi Mein Ishq-o-wafa Ka Hunar Bhi Rakh

kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh

rishta KHushi se joD gham-e-mo'tabar mein rakh

shahron mein zindagi ka safar ab muhaal hai

behtar to ye hai sahra pe apni nazar bhi rakh

duniya ke hadsat se bhi rakh tu wasta

haalat ghar ke kaise hain is ki KHabar bhi rakh

talwar hi se fath to milti nahin kabhi

nadan pahle apni hatheli pe sar bhi rakh

ummid us ke rahm-o-karam ki bhi rakh zarur

daman ko apne ashk-e-nadamat se tar bhi rakh

gar zindagi mein chahta hai sar-bulandiyan

pahle kisi faqir ke qadmon pe sar bhi rakh

gar aarzu hai tujh ko mile manzil-e-hayat

is aarzu mein KHud ko to mahw-e-safar bhi rakh

is dilkashi mein chand ki KHud ko na bhul ja

apni nazar mein jalwa-e-shaqqul-qamar bhi rakh

shahon ke dar pe jaane se main rokta nahin

lekin tu KHanqahon mein apna guzar bhi rakh

danon ke waste tu zamin par bhi aa 'aziz'

har-chand aasmanon pe tu apna ghar bhi rakh

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Zindagi Mein Ishq-o-wafa Ka Hunar Bhi Rakh In English By Famous Poet Aziz Ansari. Kuchh Zindagi Mein Ishq-o-wafa Ka Hunar Bhi Rakh is written by Aziz Ansari. Read famous Poem Kuchh Zindagi Mein Ishq-o-wafa Ka Hunar Bhi Rakh for youth and Student by Aziz Ansari. Free Download Kuchh Zindagi Mein Ishq-o-wafa Ka Hunar Bhi Rakh in PDF.