Hum Usko Bhul BaiThe Hain Andhere Hum Pe Tari Hain

hum us ko bhul baiThe hain andhere hum pe tari hain

magar us ke karam ke silsile duniya pe jari hain

karen ye sair karon mein ki uD len ye jahazon mein

farishta maut ka kahta hai ye meri sawari hain

na un ke qaul hi sachche na un ke tol hi sachche

ye kaise desh ke tajir hain kaise byopari hain

hamari muflisi aawargi pe tum ko hairat kyun

hamare pas jo kuchh hai wo saughaten tumhaari hain

nasab ke KHun ke rishte hon ya pine pilane ke

kalai par bandhe dhage ke rishte sab pe bhaari hain

ye apni bebasi hai ya ki apni be-hisi yaro

hai apna hath un ke samne jo KHud bhikari hain

hamein bhi dekh le duniya ki raunaq dekhne wale

teri aankhon mein jo aankhen hain wo aankhen hamari hain

aziz-e-na-tawan ke samne kohsar-e-gham halka

magar ehsan ke tinke azal se un pe bhaari hain

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Usko Bhul BaiThe Hain Andhere Hum Pe Tari Hain In English By Famous Poet Aziz Ansari. Hum Usko Bhul BaiThe Hain Andhere Hum Pe Tari Hain is written by Aziz Ansari. Read famous Poem Hum Usko Bhul BaiThe Hain Andhere Hum Pe Tari Hain for youth and Student by Aziz Ansari. Free Download Hum Usko Bhul BaiThe Hain Andhere Hum Pe Tari Hain in PDF.