Kya Hue Baad-e-bayaban Ke Pukare Hue Log

kya hue baad-e-bayaban ke pukare hue log

chaak-dar-chaak gareban ko sanware hue log

KHun hua dil ki pasheman-e-sadaqat hai wafa

KHush hua ji ki chalo aaj tumhaare hue log

ye bhi kya rang hai ai nargis-e-KHwab-aluda

shahr mein sab tere jadu ke hain mare hue log

KHatt-e-mazuli-e-arbab-e-sitam khinch gae

ye rasan-basta salibon se utare hue log

waqt hi wo KHat-e-fasil hai ki ai ham-nafaso

dur hai mauj-e-bala aur kinare hue log

ai harifan-e-gham-e-gardish-e-ayyam aao

ek hi ghol ke hum log hain haare hue log

un ko ai narm hawa KHwab-e-junun se na jaga

raat mai-KHane ki aae hain guzare hue log

(967) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Hue Baad-e-bayaban Ke Pukare Hue Log In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Kya Hue Baad-e-bayaban Ke Pukare Hue Log is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Kya Hue Baad-e-bayaban Ke Pukare Hue Log for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Kya Hue Baad-e-bayaban Ke Pukare Hue Log in PDF.