Likhi Hui Jo Tabahi Hai Us Se Kya Jata

likhi hui jo tabahi hai us se kya jata

hawa ke ruKH pe magar kuchh to naKHuda jata

jo baat dil mein thi us se nahin kahi hum ne

wafa ke nam se wo bhi fareb kha jata

kashid-e-mai pe hai kaisa fasad hakim-e-shahr

teri girah se hai kya banda-e-KHuda jata

KHuda ka shukr hai tu ne bhi man li meri baat

rafu purane dukhon par nahin kiya jata

misal-e-barq jo KHwab-e-junun mein chamki thi

us aagahi ke taaqub mein hun chala jata

libas-e-taza ke KHwahan hue hain zarra o sang

ek aaina hai koi dur se dikha jata

ajab tamasha-e-sahra hai chaak-e-mahmil par

ghubar-e-qais hai parda koi gira jata

jo aag bujh na sakegi usi ke daman mein

har ek shahr hai ijad ka basa jata

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Likhi Hui Jo Tabahi Hai Us Se Kya Jata In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Likhi Hui Jo Tabahi Hai Us Se Kya Jata is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Likhi Hui Jo Tabahi Hai Us Se Kya Jata for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Likhi Hui Jo Tabahi Hai Us Se Kya Jata in PDF.