Naqshe Usi Ke Dil Mein Hain Ab Tak Khinche Hue

naqshe usi ke dil mein hain ab tak khinche hue

wo daur-e-ishq tha ki baDe marke hue

itna to tha ki wo bhi musafir-nawaz the

majnun ke sath the jo bagule lage hue

aai hai us se pichhle pahar guftugu ki yaad

wo KHalwat-e-visal wo parde chhuTe hue

kyun ham-nafas chala hai tu un ke suragh mein

jis ishq-e-be-gharaz ke nishan hain miTe hue

ye mai-kada hai is mein koi qaht-e-mai nahin

chalte rahenge chand subu dam kiye hue

kal shab se kuchh KHayal mujhe but-kade ka hai

sunta hun ek charagh jala ratjage hue

meri wafa hai us ki udasi ka ek bab

muddat hui hai jis se mujhe ab mile hue

allah-re faiz-e-baada-parastan-e-pesh-rau

nikle zamin se shisha-e-mai kuchh dabe hue

main bhi to ek subh ka tara hun tez-rau

aap-apni raushni mein akele chale hue

(708) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqshe Usi Ke Dil Mein Hain Ab Tak Khinche Hue In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Naqshe Usi Ke Dil Mein Hain Ab Tak Khinche Hue is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Naqshe Usi Ke Dil Mein Hain Ab Tak Khinche Hue for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Naqshe Usi Ke Dil Mein Hain Ab Tak Khinche Hue in PDF.