Nara-e-takbir Bhi Zahid Nisar-e-naghma Hai

nara-e-takbir bhi zahid nisar-e-naghma hai

kis qadar allahu-akbar e'tibar-e-naghma hai

kya surili thi sada-e-harf-e-kun roz-e-azal

ab tak rag rag hamari be-qarar-e-naghma hai

andalib-e-KHush-nawa par aankh hai sayyaad ki

nargis-e-shahla sarapa intizar-e-naghma hai

tafraqa ho is tarah to kya jame ishrat ka rang

dil zaif-o-natawan lab zer-e-bar-e-naghma hai

sher do hain hazrat-e-ghaalib ke diwan mein 'aziz'

ye ghazal meri usi mai ka KHumar-e-naghma hai

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nara-e-takbir Bhi Zahid Nisar-e-naghma Hai In English By Famous Poet Aziz Hyderabadi. Nara-e-takbir Bhi Zahid Nisar-e-naghma Hai is written by Aziz Hyderabadi. Read famous Poem Nara-e-takbir Bhi Zahid Nisar-e-naghma Hai for youth and Student by Aziz Hyderabadi. Free Download Nara-e-takbir Bhi Zahid Nisar-e-naghma Hai in PDF.