Nigah-e-naz Mein Haya Bhi Hai

nigah-e-naz mein haya bhi hai

is banawaT ki intiha bhi hai

be-sar-o-pa nahin hai ye duniya

ibtida bhi hai intiha bhi hai

shab-e-furqat mein kya kare koi

kuchh andhere mein sujhta bhi hai

meri ek musht-e-KHak ke pichhe

baad-e-sarsar bhi hai saba bhi hai

bazm-e-rindan mein rind bhi hai 'aziz'

parsaon mein parsa bhi hai

(780) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-naz Mein Haya Bhi Hai In English By Famous Poet Aziz Hyderabadi. Nigah-e-naz Mein Haya Bhi Hai is written by Aziz Hyderabadi. Read famous Poem Nigah-e-naz Mein Haya Bhi Hai for youth and Student by Aziz Hyderabadi. Free Download Nigah-e-naz Mein Haya Bhi Hai in PDF.