BhaDak UTThenge Shoale Ek Din Duniya Ki Mahfil Mein

bhaDak uTThenge shoale ek din duniya ki mahfil mein

kahan tak jazb hongi bijliyan sabr-azma dil mein

lahu rone lagenge saz-e-ishrat chheDne wale

are ye dard aawaz-e-shikast-e-shisha-e-dil mein

ye chhinTen KHun ki kafi hain mere baKHshawane ko

nazar aati hai jannat wusat-e-daman-e-qatil mein

abad tak kaukab-e-baKHt-e-saadat ban ke chamkenge

hue hain jazb jo qatre lahu ke tegh-e-qatil mein

junun-e-be-sar-o-saman ki zinat dekhne wale

mabaada farq aae ishq ki tadbir-e-manzil mein

hazaron sal soz-e-dil ne ki thi dozaKH-ashami

qadam rakhte hi mere lag gai ek aag mahfil mein

magar bhule nahin ho yaad ab tak 'abr-o-'hamid' ki

'aziz' aaKHir wo quwwat kyun nahin baqi rahi dil mein

(641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhaDak UTThenge Shoale Ek Din Duniya Ki Mahfil Mein In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. BhaDak UTThenge Shoale Ek Din Duniya Ki Mahfil Mein is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem BhaDak UTThenge Shoale Ek Din Duniya Ki Mahfil Mein for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download BhaDak UTThenge Shoale Ek Din Duniya Ki Mahfil Mein in PDF.