Bekar Ye Ghussa Hai Kyun Uski Taraf Dekho

bekar ye ghussa hai kyun us ki taraf dekho

aaine ki hasti kya tum apni taraf dekho

mahdud hai nazzara jab hain yahi do-alam

ya apni taraf dekho ya meri taraf dekho

milne se nigahon ke kya faeda hota hai

ye baat main samjha dun tum meri taraf dekho

munh pher liya sab ne bimar ko jab dekha

dekha nahin jata wo tum jis ki taraf dekho

manzur 'aziz' us ka irfan jo hai tum ko

dekho na kisi jaanib apni hi taraf dekho

(625) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Bekar Ye Ghussa Hai Kyun Uski Taraf Dekho In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Bekar Ye Ghussa Hai Kyun Uski Taraf Dekho is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Bekar Ye Ghussa Hai Kyun Uski Taraf Dekho for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Bekar Ye Ghussa Hai Kyun Uski Taraf Dekho in PDF.