Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona

dekh kar har dar-o-diwar ko hairan hona

wo mera pahle-pahal daKHil-e-zindan hona

qabil-e-did hai us ghar ka bhi viran hona

jis ke har gosha mein maKHfi tha bayaban hona

ji na uTThunga hai bekar pasheman hona

jao ab ho chuka jo kuchh tha meri jaan hona

wahima mujh ko dikhata hai junun ke saman

nazar aata hai mujhe ghar ka bayaban hona

uf mere ujDe hue ghar ki tabahi dekho

jis ke har zarre pe chhaya hai bayaban hona

hadse donon ye aalam mein aham guzre hain

hadse donon ye aalam mein aham guzre hain

mera marna teri zulfon ka pareshan hona

al-hazar gor-e-ghariban ki Darauni raaten

aur wo un ke ghane baal pareshan hona

raat-bhar soz-e-mohabbat ne jalaya mujh ko

tha muqaddar mein charagh-e-shab-e-hijran hona

kyun na wahshat mein bhi paband-e-mohabbat rahta

tha bayaban mein mujhe qaidi-e-zindan hona

hoga ek waqt mein ye waqia-e-tariKHi

yaad rakhna mere kashane ka viran hona

kuchh na puchho shab-e-wada mere ghar ki raunaq

allah allah wo saman se saman hona

josh mein le ke ek angDai kisi ka kahna

tum ko aata hi nahin chaak-gareban hona

un ki us koshish-e-be-had ka pata deta hai

chaarasazon ka mere lash pe giryan hona

aalam-e-ishq ki fitrat mein KHalal aata hai

man lun hazrat-e-naseh ka gar insan hona

surKH Dori teri aankhon ki ilahi tauba

chahiye tha inhen paiwast-e-rag-e-jaan hona

ho chalen aap ke bimar ki aankhen be-nur

qahr tha subh ke tare ka numayan hona

main karun zabt idhar un ko pasina aae

chahiye yun gham-e-pinhan ko numayan hona

allah allah ye saliqa tera ai shoala-e-tur

kis tarah tu ne chhupaya hai numayan hona

un se karta hai dam-e-naza wasiyyat ye 'aziz'

KHalq roegi magar tum na pareshan hona

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona in PDF.