Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein

dil aaya is tarah aaKHir fareb-e-saz-o-saman mein

ulajh kar jaise rah jae koi KHwab-e-pareshan mein

ye mana zarre zarre par tumhaari mohr azal se hai

magar kya meri gunjaish nahin shahr-e-KHamoshan mein

pata us ki nigah-e-wahshat-afza ka lagana hai

nigahen wahshiyon ki dekhta phirta hun zindan mein

yahi hai ruh ka jauhar tum aaoge to niklega

dam-e-aKHir ruka hai ek aansu chashm giryan mein

meri jamiyat-e-KHatir ka saman hashr kya karta

qayamat ho gai tartib-e-ajza-e-pareshan mein

farogh-e-lala-o-ghul ka tamasha dekhne wale

ye mere dil ki choTen hain jo ubhri hain gulistan mein

'aziz' aaraish-e-gulshan ki koi intiha bhi hai

wo mahw-e-sair-e-gul hain ya gulistan hai gulistan mein

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein in PDF.