Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin

dil hamara hai ki hum mail-e-fariyaad nahin

warna kya zulm nahin kaun si bedad nahin

husn ek shan-e-ilahi hai magar ai be-mehr

bewafai to koi husn-e-KHuda-dad nahin

sar-e-turbat wo KHamoshi pe meri kahte hain

marne wale tujhe paiman-e-wafa yaad nahin

husn-e-arasta qudrat ka atiyya hai magar

kya mera ishq-e-jigar-soz KHuda-dad nahin

lakh paband-e-alaeq na rahe koi yahan

tab-e-warasta magar fikr se aazad nahin

baham aain-e-wafa rasm-e-mohabbat kaisi

waqt ab wo hai ki bandon ko KHuda yaad nahin

chashm-e-maKHmur wo hai kabil-e-gharq-e-mai-e-nab

daftar-e-ishq pe jab tak ki mere sad nahin

puchhte kya ho tabahi ka fasana mujh se

dil-e-barbaad ki surat bhi mujhe yaad nahin

zarre zarre mein hai ek aalam-e-mani pinhan

KHak-e-barbaad ko samjhe ho ki aabaad nahin

aap kahte hain ki hai gor-e-ghariban viran

aisi basti to jahan mein koi aabaad nahin

aansuon ko bhi zara dekh le rone wale

in sitaron mein to duniya koi aabaad nahin

husn-e-KHud main ne kiye aaine ke sau TukDe

ab na kahna ki nigahen sitam-ijad nahin

kab KHayalat pe mumkin hai kisi ka pahra

dil to aazad raha main agar aazad nahin

sina-kawi ke liye shart hai dil ki himmat

naKHun-e-dast-e-junun tesha-e-farhad nahin

be-KHudi manzil-e-irfan hai zara hosh mein aa

hai KHudi ka ye natija ki KHuda yaad nahin

tabqa-e-KHak mein hai aalam-e-KHaosh-abaad

jis ko barbaad samajhte ho wo barbaad nahin

dil-e-viran ki tabahi ki koi had hai 'aziz'

main samajhta hun ki duniya abhi aabaad nahin

(1685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin in PDF.