Dil Kushta-e-nazar Hai Mahrum-e-guftugu Hun

dil kushta-e-nazar hai mahrum-e-guftugu hun

samjho mere ishaare main surma-dar-gulu hun

muddat se kho gaya hun sargarm-e-justuju hun

apna hi muddaa hun apni hi aarzu hun

surat-e-sawal hun main puchho na mera matlab

main apne muddaa ki taswir hu-ba-hu hun

hai dil mein josh-e-hasrat rukte nahin hain aansu

risti hui surahi TuTa hua subu hun

zaKHmon se dil ka aalam kya puchhte ho kya hai

gulzar-e-be-KHizan hun duniya-e-rang-o-bu hun

jalwe hijab-afgan aankhen halak-hasrat

to mahw-e-parda-dari mein waqf-e-justuju hun

pamal yun hua hun pinhan hai mujh mein aalam

ek musht-e-KHak ho kar sahra-e-arzu hun

ruKH se kafan haTa do kya puchhte hain puchhen

parde mein KHamushi ke sargarm-e-guftugu hun

kis se 'aziz' rakkhun ummid dosti ki

sarkash hai nafs jab tak apna hi main adu hun

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Kushta-e-nazar Hai Mahrum-e-guftugu Hun In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Dil Kushta-e-nazar Hai Mahrum-e-guftugu Hun is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Dil Kushta-e-nazar Hai Mahrum-e-guftugu Hun for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Dil Kushta-e-nazar Hai Mahrum-e-guftugu Hun in PDF.