Partaw-e-husn Kahin Anjuman-afroz To Ho

partaw-e-husn kahin anjuman-afroz to ho

dil-e-pur-dagh mera maya-e-sad-soz to ho

kam se kam koi to saman tere aane ka karun

atlas-e-charKH to ho bistar-e-gul-doz to ho

rang-e-paira-e-chaman-josh mein kaliyan chaTken

khol de band-e-naqab aaj ki nau-roz to ho

dil mein paiwast na ho jo wo nazar hi kya hai

tir tarkash mein agar ho to jigar-doz to ho

na sahi sohbat-e-firdaus jahannam hi sahi

mahfil-e-aish na ho anjuman-e-soz to ho

kya natija hai 'aziz' aisi jabin-sai se

but ka sajda ho magar nasiya-afroz to ho

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Partaw-e-husn Kahin Anjuman-afroz To Ho In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Partaw-e-husn Kahin Anjuman-afroz To Ho is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Partaw-e-husn Kahin Anjuman-afroz To Ho for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Partaw-e-husn Kahin Anjuman-afroz To Ho in PDF.