Rasm Aison Se BaDhana Hi Na Tha

rasm aison se baDhana hi na tha

KHidmat-e-naseh mein jaana hi na tha

baDh gae kuchh aur un ke hausle

rone walon ko hansana hi na tha

dil ka bhi rakhna tha hum ko kuchh KHayal

is tarah aansu bahana hi na tha

kal zamana KHud miTa deta jinhen

aise naqshon ko miTana hi na tha

be-piye waiz ko meri rae mein

masjid-e-jama mein jaana hi na tha

rah gaya aankhon mein naqsha aap ka

naza mein surat dikhana hi na tha

KHud wo de dete to achchha tha 'aziz'

kya kahen yun zahr khana hi na tha

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasm Aison Se BaDhana Hi Na Tha In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Rasm Aison Se BaDhana Hi Na Tha is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Rasm Aison Se BaDhana Hi Na Tha for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Rasm Aison Se BaDhana Hi Na Tha in PDF.