Saf Baatin Der Se Hain Muntazir

saf baatin der se hain muntazir

saqiya KHuz ma-safa da ma-kadar

phir hayat-e-chand-roza ka maal

maut par jab zindagi hai munhasir

rut badalte hi faza mein gunj uTha

naghma-e-ya-ayyohas-saqi adir

aise wadi mein nahin kya rahnuma

KHud jahan gum-karda manzil hun KHizar

mashwara rahmat se kar ai adl-e-haq

kya saza jo ho KHata ka KHud muqir

kyun hai asrar-e-do-alam ki talash

parda-e-dil mein hain tere musattir

kyun meri diwangi badnam hai

un ki aankhen KHud huin jab mushtahar

al-hazar pir-e-falak ki sar-kashi

dekhne mein tu hai utna munkasir

kho chuka aankhen magar ai barq-e-husn

dil rahega aur rahega muntazir

sun le faryaad-e-'aziz' jaan-ba-lab

rabb-e-inni mustaghiso fal-faqra

(1026) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saf Baatin Der Se Hain Muntazir In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Saf Baatin Der Se Hain Muntazir is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Saf Baatin Der Se Hain Muntazir for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Saf Baatin Der Se Hain Muntazir in PDF.