Aaenge Nazar Subh Ke Aasar Mein Hum Log

aaenge nazar subh ke aasar mein hum log

baiThe hain abhi parda-e-asrar mein hum log

lae gae pahle to sar-e-dasht-e-ijazat

mare gae phir wadi-e-inkar mein hum log

ek manzar-e-hairat mein fana ho gain aankhen

aae the kisi mausam-e-didar mein hum log

har rang hamara hai, har ek rang mein hum hain

taswir hue waqt ki raftar mein hum log

ye KHak-nashini hai bahut, zill-e-ilahi

jachte hi nahin jubba-o-dastar mein hum log

ab yun hai ki ek shaKHs ka matam hai musalsal

chunwae gae hijr ki diwar mein hum log

sunte the ki bikte hain yahan KHwab sunahre

phirte hain tere shahr ke bazar mein hum log

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaenge Nazar Subh Ke Aasar Mein Hum Log In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Aaenge Nazar Subh Ke Aasar Mein Hum Log is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Aaenge Nazar Subh Ke Aasar Mein Hum Log for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Aaenge Nazar Subh Ke Aasar Mein Hum Log in PDF.