Aankhon Ke Gham-kadon Mein Ujale Hue To Hain

aankhon ke gham-kadon mein ujale hue to hain

buniyaad ek KHwab ki Dale hue to hain

talwar gir gai hai zamin par to kya hua

dastar apne sar pe sambhaale hue to hain

ab dekhna hai aate hain kis samt se jawab

hum ne kai sawal uchhaale hue to hain

zaKHmi hui hai ruh to kuchh gham nahin hamein

hum apne doston ke hawale hue to hain

go intizar-e-yar mein aankhen sulag uThin

rahon mein dur dur ujale hue to hain

hum qafile se bichhDe hue hain magar 'nabil'

ek rasta alag se nikale hue to hain

(792) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ke Gham-kadon Mein Ujale Hue To Hain In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Aankhon Ke Gham-kadon Mein Ujale Hue To Hain is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Aankhon Ke Gham-kadon Mein Ujale Hue To Hain for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Aankhon Ke Gham-kadon Mein Ujale Hue To Hain in PDF.