Agarche Zehn Ke Kashkol Se Chhalak Rahe The

agarche zehn ke kashkol se chhalak rahe the

KHayal sher mein Dhalte hue jhijak rahe the

koi jawab na suraj mein tha na chand ke pas

mere sawal sar-e-asman chamak rahe the

na jaane kis ke qadam chumne ki hasrat mein

tamam raste dil ki tarah dhaDak rahe the

kisi se zehn jo milta to guftugu karte

hujum-e-shahr mein tanha the ham, bhaTak rahe the

ye us ne dekha tha ek raqs-e-na-tamam ke baad

wufur-e-shauq mein kaun-o-makan thirak rahe the

kitab-e-umr-e-guzishta ke hashiyon mein 'nabil'

wo shor tha ki zamin aasman dhamak rahe the

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agarche Zehn Ke Kashkol Se Chhalak Rahe The In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Agarche Zehn Ke Kashkol Se Chhalak Rahe The is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Agarche Zehn Ke Kashkol Se Chhalak Rahe The for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Agarche Zehn Ke Kashkol Se Chhalak Rahe The in PDF.