Baaton Mein Bahut Gahrai Hai, Lahje Mein BaDi Sachchai Hai

baaton mein bahut gahrai hai, lahje mein baDi sachchai hai

sab baaten phulon jaisi hain, aawaz madhur shahnai hai

ye bunden pahli barish ki, ye sondhi KHushbu maTi ki

ek koyal bagh mein kuki hai, aawaz yahan tak aai hai

badnam bahut hai rah-guzar, KHamosh nazar, bechain safar

ab gard jami hai aaankhon mein aur dur talak ruswai hai

dil ek musafir hai be-bas, jise noch rahe hain pesh-o-pas

ek dariya pichhe bahta hai aur aage gahri khai hai

ab KHwab nahin kam-KHwab nahin, kuchh jine ke asbab nahin

ab KHwahish ke talab pe har su mayusi ki kai hai

pahle kabhi mahfil jamti thi mahfil mein kahin tum hote the

ab kuchh bhi nahin yaadon ke siwa, bas main hun meri tanhai hai

(1027) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baaton Mein Bahut Gahrai Hai, Lahje Mein BaDi Sachchai Hai In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Baaton Mein Bahut Gahrai Hai, Lahje Mein BaDi Sachchai Hai is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Baaton Mein Bahut Gahrai Hai, Lahje Mein BaDi Sachchai Hai for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Baaton Mein Bahut Gahrai Hai, Lahje Mein BaDi Sachchai Hai in PDF.