Jis Taraf Chahun Pahunch Jaun Masafat Kaisi

jis taraf chahun pahunch jaun masafat kaisi

main to aawaz hun aawaz ki hijrat kaisi

sunne walon ki samaat gai goyai bhi

qissa-go tu ne sunai thi hikayat kaisi

hum junun wale hain hum se kabhi puchho pyare

dasht kahte hain kise dasht ki wahshat kaisi

aap ke KHauf se kuchh hath baDhe hain lekin

dast-e-majbur ki sahmi hui baiat kaisi

phir nae sal ki sarhad pe khaDe hain hum log

rakh ho jaega ye sal bhi hairat kaisi

aur kuchh zaKHm mere dil ke hawale meri jaan

ye mohabbat hai mohabbat mein shikayat kaisi

main kisi aankh se chhalka hua aansu hun 'nabil'

meri taid hi kya meri baghawat kaisi

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Taraf Chahun Pahunch Jaun Masafat Kaisi In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Jis Taraf Chahun Pahunch Jaun Masafat Kaisi is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Jis Taraf Chahun Pahunch Jaun Masafat Kaisi for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Jis Taraf Chahun Pahunch Jaun Masafat Kaisi in PDF.