Is Bar Hawaon Ne Jo Bedad-gari Ki

is bar hawaon ne jo bedad-gari ki

phir mere charaghon ne bhi shorida-sari ki

main ne kisi hanste hue lamhe ki talab mein

is shahr-e-dil-awez mein bas dar-ba-dari ki

kuchh aur wasila mere izhaar ko kam tha

sau main ne meri jaan sada sher-gari ki

ai ahd-e-rawan main tera mehman hua tha

lekin tere logon ne baDi be-KHabari ki

haalanki kai log hain naraaz bhi mujh se

jo baat bhi ki main ne bahr-e-haal khari ki

paDh leti hain lafzon ka tanaffus meri sochen

kuchh dad to di jae meri dida-wari ki

main wo ki hun sadiyon ki masafat ka musafir

har lamhe ki aahaT ne meri ham-safari ki

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Bar Hawaon Ne Jo Bedad-gari Ki In English By Famous Poet Aziz Nabeel. Is Bar Hawaon Ne Jo Bedad-gari Ki is written by Aziz Nabeel. Read famous Poem Is Bar Hawaon Ne Jo Bedad-gari Ki for youth and Student by Aziz Nabeel. Free Download Is Bar Hawaon Ne Jo Bedad-gari Ki in PDF.